Search
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Aik Din
Aik Din
Tum Ne Mujh Se Kaha Tha
Dhoop Kari Hai
Apna Saaya Saath Hi Rakhna
Waqt K Tarkash Mein Jo Teer Thy
Khul Ker Barsy Hain
Zard Hawa K Pathreely Jhonkon Se
Jism Ka Phanchi Ghayal Hai
Dhoop Ka Jungle ' Pyass Ka Darya
Aesy Mein Aanso Ki Ek Ek Boond Ko
Insan Tarsty Hain
Tum Ne Mujh Se Kaha Tha
Samy Ki Behti Nadi Mein
Lamhy Ki Pehchaan Bhi Rakhna
Mery Dil Mein Jhank Ker Dekho
Dekho Saaton Rung Ka Phool Khila Hai
Woh Lamha Jo Mera Tha ' Woh Mera Hai.......
Waqt K Paikaan Beshak Tan Per Aan Lagy
Dekho Is Lamhy Se Kitna Gehra Rishta Hai
Khushbo Bund Dareechy Khol Rahi Hai
Chandi Ratoon Sa Mausam Bhi
Kaliyaan Bhi Hain ' Shabnam Bhi
Yeh Sab Mery Aayeeny Hain
Aur Her Aayeeny Mein Tum Ho......!

·
3 Like ·
Feb 07, 2016 at 08:02
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Apne Uljhe Hue Din Raat
Apney Uljhey Huwey Din Raat Bhi Suljha Na Sakey
Itney Be-Faiz Hain Khud Apney Hi Kaam Aa Na Sakey
Saaya-E-Zeest Ko Dhaltey Huwey Daikha Lekin
Taptey Sehra Pay Koi Naqsh-E-Khushi Paa Na Sakey
Dil Bhi Machla Tha Nigahein Bhi Palat Jaati Theen
Unn Ki Dehleez Pay Lekin Ye Qadam Jaa Na Sakey
Dil Ki Taskheer Hi Darasal Fatah Mandi Hai
Unn Ko Paa Kar Bhi Magar Hum Unhein Apna Na Sakey
Daastan Kehney Ki Kuch Waqt Ne Mohlat Hi Na Di
Lab Kusha Ho Na Sakey Dil Unhein Dikhla Na Sakey
Khilti Kaliyon Ke Tabasum Ki Haqeeqat Kya Hai
Bikhrey Phoolon Say Jo Poocha To Woh Samjha Na Sakey ….!

1 Like ·
Dec 09, 2015 at 15:12
Category: sad
Advertisement
Poetry / Occassional Events
Muzammil Shahzad
Aakhri Chund Din December K
Aakhree Chand Din December K
Har Baras Hi Giraa Guzartay Hain
Khwahishoon Kay Nigaarkhanay Mein
Kaisay Kaisay Gumaan Guzartay Hain
Raftagaan Kay Bikhartay Saalon Ki
Aik Mehfil Si Dil May Sajti Hai
Phone Ki Diary K Safhoon Say
Kitnay Number Pukartay Hain Mujhe
Jin Say Murboot Benawa Ghantee
Ab Faqut Meray Dil May Bajti Hai
Kis Qadar Pyaray Pyaray Naamoon Per
Raingtee Budnuma Lakeerain C
Meri Aankhoon Main Phail Jaatee Hain
Doorian Daairay Banati Hain
Hur December Kay Aakhree Din Mein
Hur Baras Ki Tarha Say Ab Kay Bhi
Diary Ik Sawal Kerti Hay
Kiya Khaber Is Baras K Aakhir Main
Meray In Bechirag Safhoon Say
Kitnay Hi Naam Kut Gaiy Ho Gain
Hur December Mein Sochta Hoon Main
Aik Din Is Tarha Bhi Hona Hai
Rang Ko Roshni Mein Khona Hai
Har Baras Hi Giraa Guzartay Hain
Khwahishoon Kay Nigaarkhanay Mein
Kaisay Kaisay Gumaan Guzartay Hain
Raftagaan Kay Bikhartay Saalon Ki
Aik Mehfil Si Dil May Sajti Hai
Phone Ki Diary K Safhoon Say
Kitnay Number Pukartay Hain Mujhe
Jin Say Murboot Benawa Ghantee
Ab Faqut Meray Dil May Bajti Hai
Kis Qadar Pyaray Pyaray Naamoon Per
Raingtee Budnuma Lakeerain C
Meri Aankhoon Main Phail Jaatee Hain
Doorian Daairay Banati Hain
Hur December Kay Aakhree Din Mein
Hur Baras Ki Tarha Say Ab Kay Bhi
Diary Ik Sawal Kerti Hay
Kiya Khaber Is Baras K Aakhir Main
Meray In Bechirag Safhoon Say
Kitnay Hi Naam Kut Gaiy Ho Gain
Hur December Mein Sochta Hoon Main
Aik Din Is Tarha Bhi Hona Hai
Rang Ko Roshni Mein Khona Hai
·
1 Like ·
Nov 16, 2015 at 05:11
Category: occassional-events
Social Wall / Photos
Muzammil Shahzad
Jumma Ka Din Ghusl
·
1 Like ·
Nov 12, 2015 at 13:11
Category: photos
Poetry / Occassional Events
Muzammil Shahzad
Saal Ka Akhri Din
Saal kaa Aakhri Din Hai
Abhi Kuch Dhoop Hai Leikin
Zara See Dair ko Tay Hai Kay Akhir Shaam Hona Hai
Haqiqat Ya Kahani Jo Bhee Hai Anjam Hona Hai
Chalo Mil Baith Kay Apnay Khasaray Bant Letay Hain
Sab He Rang Aur jugnoo Aur Sitaray Bant Letay Hain
Zara See Dair Ko Tay Hai key Akhir Shaam Hona Hai
Haqiqat Ya Kahani Jo Bhee Hai Anjam Hona Hai
To kyon Naa Kuch Shaam Say Pehlay
Jo Kuch Ghariyan Muyasir Hain
Unhee Mein Zindagi Kar Lain,
Kisi Ahsaas Kee Shama Jala Kar
Inn Andheron Main
Koyee Daam Roshi Kar Lain
Chaloo Hum Dosti Kar Lain

Nov 04, 2015 at 08:11
Category: occassional-events
Poetry / Occassional Events
Muzammil Shahzad
Aaj Buhat Din Baad
aaj bohat din baad suni hai BARISH ki awaz
aaj bohat din baad kissi manzar nay rusta roka hai
rim jhim ka malboos pahan kar yaad kissi ki aayi hai
aaj bohat din baaad achanak aankh younhi bhar aayi hai
Ankh aur manzir ki wusat mein charon janib barish hai
Aur barish mein, duur kahin ik ghar hai jis ki
Ek ek eent pe terey merey khwab likhey hain
Aur us ghar ko janey wali kuch galiyan hain
Jin mein hum dono ke saye tanha tanha bheeg rahey hain
Darwazey per qufl para hai aur dareechey sooney hain
Deewaron per jami hui kai mein chhup kar
Mausam humko dekh rahe hain
Kitney badil, hum dono ki ankh se ojhal
Baras baras kar guzar chukey hain...
Ek kami si,
Ek nami si,
Chaaron janib phail rahi hai,
Kai zamaney ek hi pal mein
Baham mil kar bheeg rahey hain
Andar yaaden sookh rahi hain
Bahir manzir bheeg rahey hain!!!

Oct 24, 2015 at 04:10
Category: occassional-events
Social Wall / Photos
Sadaf Faiz
Aik Wo Din Thay Aik Dosray Ko Sochte Thay Hum
·
0 Like ·
Oct 20, 2015 at 13:10
Category: photos
Social Wall / Photos
Abdul Ghaffar
Jummay K Din Gusal Ki Fazilat.
·
1 Like ·
Aug 29, 2015 at 18:08
Category: photos
Articles / Featured
Ijunoon
Cancer Se Bachao Ka Aalmi Din
پاکستان سمیت دنیا بھر میں کینسر(سرطان) سے بچائو کا عالمی دن جمعرات کو منایا جائے گا۔ اس دن کے منانے کا مقصد سرطان کے پھیلائو کے حوالے سے آگاہی اور اس سے بچائو کے متعلق شعور پیدا کرنا ہے۔ اس دن کے حوال...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Jun 22, 2015 at 16:06
Category: featured
Sponored Video